Blog Contributorz

Saturday, February 7, 2009

yeah....this is my streetplay team...love 'em all loadsssss.......!

OUR STREETPLAY SCRIPT... DILLI 'DARR'-SHAN!



ENTRY--- (chorus)
Kar dhoom dhadaaka, hoye!
Oye shor sharaaba, hoye!
Aa gaya ji, aa gaya… apna tamaasha!
Ho jayein zordaar taaliyaan,
Tod do saare phaatak…
Aa gaya, oye, aa gaya…
Apna NUKKAD NAATAK!!!
---------------------------------------------------------------------------
WRESTLING SEQUENCE--- ( surabhi-reporter, shikha, ayush-screen with chunni, rajat-dafli)
Namaskar! Subah ke 10 baje hain… Aap dekh rahe hain Dilli Darshan… aur hum hain sheher ke beechoen-beech, mashhoor pahalwaan akhaade mein!
Meri baai taraf hain shree.achchai… aur daai ore, unhe kaante ki takkar dene ko tayaar Bhaiya buraai!
Yaad rakhiye… aap dekh rahe hain ye rangaarang muqabla, sabse pehle, live & exclusive hamare channel pe!
Aur ye hua muqabla shuru… (screen disperses)
Achchai burai pe haawi… burai ka bhi jawaab nahin….aur ye kia achchai ne ek zordaar vaar… buraai bhi kam nahin… dia ek karaara jawaab!
Ek zabardast vaar… aur, ye ho gayi hai buraai ki haar!

(screen rejoines) to dekha aapne,,, hamesha ki tarha yahaan bhi hui hai achchai ki jeet!
Pushpa, dilli, dilli darshan!

---------------------------------------------------------------------------
(Chorus… led by sushant)
Arri o pushpa… band kar ye dilli darshan, re!
Buraai ki haar, achchai ki jeet,
Hamesha nahin hoti yeh cheez!
To aankhoen se hatao, ye bhram ka kaala chashma,
Aur band karo khuli aankhoen se dekhna sapna!
Chhodo ab ye faltu ka paryatan,
AAO…
Le chaloon tumhe karaane…
DILLI DARR-SHAN!
…….DILLI DARR-SHAN!........
(ashok (A)- entry… chorus in background)
A- aan do bhai… aan do!
Oh, main munda anjaana hoon! AHA
iss sheher ko naa pehchana hoon! AHA
kahin bhi chala jata hoon! AHA
kisi se bhi bhidh jata hoon! AHA
(someone pushes A) yahaan pe dhakke…
(someone shows a punch) wahaan pe mukke!
arrey kaisi yeh jagah hai… koi bataa naa! AHA… (chaddo step)

B(anuj)- Oh paachchhe holey, pachchhe! (all crouch down)
Kya ho raha oye yahaan pe?
Kyon subah-subah sor daal rakha hai?
Kaun hai bhai tu? (looks at A suspiciouly)
(A stares blankly)
Gunga hai kay?
Arre, but banke kyon khada hai? Kuch bol de!

A- Main woh hoon… jisse bhaagta har banda,
Tumhare sar pe mandraata, banke phaansi ka phanda!
Mere aage naa tikta koi… rank ho ya raja!
Naam hai mera ‘BHAY’,
Do chutki mein bajaa doon tumhara baaja!

(Rishabh… with chorus)oye, baaja re baaja!... wah, wah!

B- wah bhai! Kavita to ghani achchhi bol leta hai… ab jyada bakwaas mat pel! Chupchaap bata de… kahan se chhut ke aaya hai?

A- main who hoon, jo har mann mein hai basta,
jo aata rokne… chaahe lo jo rastaa,
darr hoon main, darr…
mat jaano mujhe… koi sauda sasta!

B- tumse to baat karna hi fizool hai! Achcha batao… kay chahie taney?
(A making faces…as if thinking… scratching chin… moving around)

B- jai bajrang bali… kaun mil gaya savere-savere apni gali?
A- tum aise nahin manoge! Koi nahin maanta! Chalo… ek sauda karte hain!
B- sauda? Big bajaar laga raha hai kay? Sopping karne chala hai!
Vaise karna kay hai? Seedhe-seedhe bol!
A- tum aaj pura din… mujhe dilli ghumaoge!
(Chorus--- DILLI?!?)
A- haan dilli! Bahut suna hai tumhare sheher ke baare mein… aaj dekh bhi loon!
Main ‘BHAY’ dikhaunga tumhe… ki main aakhir cheez kya hoon!
Bolo… manzoor?
B- aur kaunu chaara hai hamaar paas?
(Chorus--- bolo,,, bolo!)
A- wo to tum hi jaano! Aao…chalein!
B- chal… karata hun tujhe dilli darshan!
---------------------------------------------------------------------------
(chorus) dilli, dilli… chal dekh hamari dilli,
Lambi lambi sadkein,,, aur gaadiyaan neeli-peeli,
Imaarat oonchi-oonchi, baag bagichoen ki bahaar,
Mushkilein… zyada nahin… bass hongi do-chaar!

Aa dekh, aa dekh… udd jaye na teri khilli,
Aunty-uncle, chacha-taai… chalo dekhe saadi dilli,
Dilli, dilli… aa dekh hamaari dilli!
---------------------------------------------------------------------------
(On the road… crossing… bikers [umesh, and then saurabh] over speeding…dhoom tune)

B- oye dhyaan se! andhaa hai kay? Tere baap ki sadak hai?
(near collision)
B- kya hua? Abhi se darr gaye?
A- (suneil shetty style) huh! Koi hamein dara de ye ho nahin sakta, aur hum kisi se darr jayein, ye main hone nahin doonga!
Saurabh- abey oye!

PAUSE
(chorus--- arre babuji, zara dheere chalo,
Bachio zara… yeh hai asli dilli!
Sambhalo, rukio zara…
Varna roiyo, banke bheegi billi!)
RESUME

A & saurabh fight… B tries sorting out.
B- oye jaan do… kuch naa hua… kuch naaa hua!

Rishabh (with chorus hooting & shouting) - oye vari varsi, khadan gaya si,
Khad ke liyanda chor,
Mazza sannu tadde aaye,
Jaddoen miley money, more, more & more!

Saurabh (tries bribing) – oh sirji… sirji… aao, aap kone mein aao!
Rishabh- oh kona, vona, chadd de mundeya,
Kudiyaan wargi naa bana bahaana,
Kartar singh hawaldaar naam hai saadda,
Nahin chaluga aitthe, tera dostana!
Saurabh- oh, aap aao to…!
(chorus- haww!)
PAUSE
Ayush- paisa jab tak haath mein hai,
Sadak hamare baap ki hai!
Har koney mein, har besh mein,
Paisa akela bolta hai… hamare pyare desh mein!
RESUME
---------------------------------------------------------------------------
(A & B catching a blueline bus)
(lots of pushing and shoving)

A- arrey ye kya hai? Itni bheed?
B- roz ka hai bhai… chad jaa… chad jaa!

(bus suddenly stops… all fall onto eachother)
Rajat & ayush – abey, kya hai oye?
A & B alo argue a bit.

Surabhi( boodhi tai enters from right) – ae sambhal ke chhora!
B- baith jaa tai, baith jaa!
(A overtakes & occupies seat)
Surabhi- arrey, ladies seat hai!
Rajat – kahan likha hai?
Surabhi - wo dekh, wahan upar!
Ayush - haan to wahin baith jao! ( both laugh)

(shikha enters from left)
Rajat - oe dekh, oe dekh… maal aya hai maal!
Ayush- aja darling… peechhe aja!
Rajat - hai chikni!

B- oe bass kar! Behen hai teri!
Ayush- abey chal! Behen hogi teri!
Na behen, naa bhai… sambhal apni tai!
PAUSE

Saurabh- kyun nahin samjhta insaan,
Ladki, ladki hai… nahin koi saamaan!
Kyon baat-baat par… raah-raah par,
Jhelna padta hai usko apmaan?


Shikha- chup rahoon, to haste mujhpe ye log behisaab!
Boloon… to jala dete, phaink ke tezaab!
Roz niklu… darr-sehem ke, ghar se,
Kya tum ladte ho itna… apne atma-sammaan ke liye?
RESUME
---------------------------------------------------------------------------
(Bus meets an accident… a boy [sushant] killed)

All passengers- oe kya hua? Kya hua?
Bus driver [umesh]- kuch nahin hua ji… kuch nahin hua!
All- chalo dekho!

(Sushant tossing in pain… all surround him)
(umesh tries to flee… rishabh catches him by the collar)

Rishabh- oye, kitthe bhaj reya si?
(hands him over to someone else… says angrily)

Vari varsi khadan gaya si,
Khad ke liyandi haddi,
Aitthe ki syaapa hua?
Munde te chadha ditti gaddi!

Tu chal mere naal!

(Reporter [surabhi] & cameraman [saurabh] come over to cover it)

Surabhi- ( after checking pulse)( one hand-mic, other-earpiece)
hum iss samay hain dilli ki ast-vyast ring road pe… aur jaari hai blueline ka keher! 272vi durghtana… ek navyuvak… aaiye… hum poochhte hai chashmadeedoen se, ki aakhir hua kya!

Bhaisahab, bataiye… aapne kya dekha?
anuj- maine kuch naa dekha! Oye chal tu bhi! (walks away… covers eyes)
Aapne kuch dekha? ( shikha… covers mouth)
Aap bataiye… (rajat… covers ears)

Surabhi- dekhiye… iss jawaan ki laash… iski budhi maa, ek garam chai ki pyaali liye, ghar pe iska intezaar kar rahi hogi!
Par ab ye wo chai nahin pee payega!
Aapko kya lagta hai? Kya hoga uss chai ka? Abhi SMS kijie… 54321 pe!

Aur wahan dekhiye… gandhiji ke aadarsh aaj bhi maane jaate hain… wo teen bandar… bura na suno, bura na dekho, bura na kaho… par ab iske maayne badal gaye hain…
Ye sab dekhte, sunte hai… par gawaahi koi nahin deta!
Aakhir, kiska darr hai inhe?

Aaiye, inhi se poochhte hain… bhaiya, aapko kaisa mehsoos ho raha hai?
Nahin, ye laash to nahin bolegi,
Par hum bolte hai janta ki awaaz!
Cameraman sandeep ke saath,
Pushpa, dilli, dilli darshan!

PAUSE
Sushant- do rupye mein bikta hai imaan,
Phokat mein chhin jati hai jaan,
Sannaata, bass sannaata rehta hai,
Aaye, gaye… chahe jitne toofan!

Ek pal ki kisi ki bhool se,
Mil gaya hoon main yahaan dhool mein,
Hota hai yehi baar-baar,
Bhrashtachaar ka nanga karobaar!

Rajat- na rok-tok, na dand koi…
Aakhir kab hoga, inn jaanwaroen ko ehsaas,
Ki unki ek pal ki manmaani ne…
Na jaane, kitnoen ki bichha di hai laash!

RESUME
---------------------------------------------------------------------------
(A & B enter)
(In background – ayush, umesh, saurabh playing cards… smoking)

B- orey aa! Apna college dikhaun!
A- tum college mein padhte ho? Shakal se to nahin lagta!
(Laughs sarcastically)
B- arrey, padhe mere dushman! Tu aa to sahi!
A- (pointing somewhere) building to ye rahi! Kahan le jaa rahe ho, bhai?
B- bhaya… asli jindagi colleg ke andar nahin… uski chahaardiwaari ke baahar hai!

(B greets all the people seated… they greet back)
ayush- oye aja… aaj der kaise ho gayi? ye kya… naya bakra?
Saurabh- naye patte phaink oye!

B- arrey, aaj nahin re! iss item ko dilli darshan karwaane hain! Tum log khelo!
(A coughs badly)
Smackias- chal tu nikal! Munne ko khaansi ho rahi hai!

(they go to the side… drug dealer walks in… exchange going on)

A- Ye kaun hai?
B- Dealer hai, dealer!
A- Dealer? Aur uske haath mein kya hai?
B- charas, gaanja, afeem! Taney naa pata?
A- ahan…
B- tumhari to jindagi hi barbaad hai, huh!

(policeman enters)
Rishabh- oye kya ho raha hai, oye?
Sushant- kuch nahin ji, kuch nahin!
Rishabh- achcha, assi sab jaande hain! Mri ghaas kitthe hai?
Sushant- achcha, to aise blo naa ji! Ye lo… theek hai ji?
Rishabh- chal…!

PAUSE

Umesh- desh ke naujawaanoen ko maante hain hum vikas ki seedhi,
Par nasha pradooshit kar raha hai… har pal ye peedhi!
Na hosh, na sudh… har kone mein phaila hai ye jantar-mantar,
To kis prgati ki dekh rahe ho raah, kis…
Jab behosh yuva… naa janein sahi-galat ka antar?
---------------------------------------------------------------------------
(beggar scene)

Ayush n rishabh… distract n kidnap rajat… torture him…

Rajat--- aaj hua hai mere saath,
Na jaane kab tak hota rahega kitnoen ke saath,
Kaat daale mere haath, tod daale mere pair,
Bitha dia hai naake par leke katora,
Kab tak rahegi meri yeh bebasi jaari,
Ujaad ke mera bachpan… bana daala hai mujhe bhikhari!
---------------------------------------------------------------------------
(panwala///molestation scene)

( umesh as panwala… A & B walk in)

Umesh- oh khaike paan banaras wala!

B- oye aja… dilli dekh li… abhi tak tanne paan naa khilaya!
A- paan? Ye kya hai?
B- arre diwaaroen pe chitrakaari naa dekhi… sab paan ka kamaal hai!

(shikha, surabhi walk in from right of screen)

(ayush, rishabh, rajat… @ d bonfire on d left)

Rajat--- chaandani raat… do-do ladkiyaan saath- saath!

…Momentary PAUSE…

A- oye yeh kya hai?
B- aree chhod… tu mat padh inn pangoen mein!

...RESUME…

All 3- kahaan chali, bhai… kahaan chali,
Itni raat ko madam kahan chali?
Ye hai badi sunsaan gali,
Hooo….. sunsaan gali,
Hooo….. sunsaan gali!

Wo dekho scooter pe uncle… (sushant drives in)
Aur wo talli sharaabi… (umesh walks in swaying)

Kahaan chali, bhai kahaan chali, bhai kahaan chali!!!

( in d circle)

Saavdhaan memsaahab… hone wali hai badi kharaabi!

( gals shout)

Disperse with beats…

2S- kyun, kyun, kyun hua hamare saath?
C- hum kya jaanein? Hoga tumhara haath!
2S- wah! Bahut khoob! Ulta hum par hi ilzaam!
C- bekaar ki behas band… chalo karo apna kaam!
Anuj- itni raat kjo kyun nikle?
C- bolo… oye bolo?
Ayush- pehenke modern kapde!
C- bolo… oye bolo!
Surabhi- kuch bhi pehnu, kuch bhi karoon… har baat pe manmaani!
Shikha- galti bass ladki ki? Har baar ki yehi kahaani!
2S- bolo, bolo?!?
C- oh chhodo…. Oh chhodo!

---------------------------------------------------------------------------

(A & B… final conversation)

B- aur bhai… dekh li dilli? Maari to haalat tight hai!
(A standing dumb… In deep thoughts)

B- ab kya hua?
A-( in a softer tone) main darr…

B- arrey jai raam ji ki! Itni mitthi awaaz? Chamatkaar!
(chorus--- chamatkaar, chamatkaar!)

B- kahaan gaya tumhaara hahaakaar? Wo ravaan jaisi hansi?
‘bhay hoon main bhay, bhay hoon main bhay!’
(chorus--- ‘bhay hoon main bhay, bhay hoon main bhay!’)

A- bhay hoon main,
Hoon main darr!
Par ek ajab hulchul chal rahi hai mere andar!
Jiske naam bhar se rom-rom jaata tha kaanmp,
Dil dehla deti… meri parchhai, meri chhap!
Bhai, dilli mein to baithe hain… mere bhi baap!
( crouches holding head)

PAUSE

Chorus- netaoen se darte kutte,
Kutte se darti billi hai,
Jo darti nahin daraati,
Woh dilli hai, woh dilli hai!

Woh dilli hai, woh dilli hai!
Woh dilli hai, woh dilli hai!

RESUME
---------------------------------------------------------------------------
(Tree formation)

A- main ‘DARR’… aaya tha dilli mein basne,
Zehreele saamp ki tarah, sheher ko dasne!
Mushkil nahin tha yeh kaam… tum bhi jaano,
Bahut dete mera saath… mano, ya naa mano!
(Stands in the centre)

Saurabh- hum hain dilli ke ‘BIKER BAADSHAH’,
Tumhari har khushi mein se, nichod lete ek AAH!
Gati ki seema… hamein mat batao,
Hamne kab maana hai kisi ka kehna?
(forms a branch to the left… sushant follows)

Ayush- huh! Band karo yeh apna bekaar ka gungaan,
Taanaashah hoon main… meri mutthi mein tumhari jaan!
Ehsaan maano… nahin karte, jaati-dharm mein antar,
Swarg ki apsaraaoen se milwaate… apni ‘BLUELINE’ se kuchalkar!
(forms right branch… umesh follows)

Rajat- tum to bass karte ho desh ki aabaadi ko kam,
Jadoen se khokhla to karte hain hum,
Kya burai hai ‘NASHE’ mein? Hum to dikhate taare jannat ke,
Kya koi rokega, pakdega hamein? Ye nahin kisi ke bass mein!

(Gets on to A’s shoulders)

Shikha & surabhi- bahut bol liye tum sab…
Nahin jaante tum meri manmaani!
‘NIRAKSHARTA’… jadd hoon main sabki,
Main hi hoon… patan ki maharaani!

(Crouch in front)

A- ye sab hain tehniyaan meri,
Inhi se banta… iss pedh ka tann,
‘BHAY’,’DARR’… jo chaahe pukaaro,
Main hi todta sapne… ujaadta mann!

(Explosion… all shout… bend slightly)

Rishabh- HAHAHAHAHA………
Pyaade kab se bulaane lage khud ko raja?
Do takey ki aukaat nahin tumhaari… mol laga rahe ho zyada!
Mohre ho tum… bass ek mohra!
Chaaroen ore to chhaya hai… mera kaala kohra!

Jonk ki tarah peeta hoon… main iss samaaj ka lahu,
‘DEHSHAT’ hoon main… dehshat main hi hoon!
(A keeps getting crippled… as he speaks)

(Rishabh chops off the tree with an axe… A falls down… chorus- shouts- thrice)
---------------------------------------------------------------------------







-------CLOSING SCENE-------

( FORM CHAIN)
Surabhi- kaisi hai yeh ajab reet?
‘BHAY’… aaj khud hai ‘BHAYBHEET’!
Par ‘DARR’, ‘DEHSHAT’… hain to ek hi taraf na?
Kaun batayega… iss haar mein hai… aakhir kiski jeet?

Anuj- kya sthiti hai hamari dilli ki aaj?
Socho, do pal… rok ke sab kaam-kaaj!
Bhrashtachaar ko bahut kos liya,
Bahut de di sarkar ko gaali,
Par bagiya to tabhi mehkegi naa…
Jab dil se chaahega maali!

Rajat- aur maali aur koi nahin,
Tum ho… aur main hoon!
Sath hataana hai yeh andhera,
Karwaani hai APNI DILLI ki vijay!

Sushant- yuvaoen ki hai zimmedaari,
Chaahe pade kuch bhi sehna…

Surabhi- yaad rakho… agar dilli banegi nark,
To tumhe bhi to hai, issi nark mein rehna!

Chorus- tumhe bhi to hai, issi nark mein rehna,
tumhe bhi to hai, issi nark mein rehna!

( IN D CIRCLE)
JAAGO DILLI…. JAAGO DILLI!
---------------------------------------------------------------------------
THE END